Na wo milta hai na milne ka ishara koi
Kaise umeed ka chamke ga sitara koi
Had se jyada, na kisi se bhi mohabbat karna
Jaan leta hai sada, Jaan se pyara koi
Bewafai k sitam tum ko samajh aajate
Kash! Tum jaisa agar hota tumhara koi
Kash! Tum jaisa agar hota tumhara koi
Chand ne jagte rahyne ka sabab pucha hai
Kya kahe tot gya khob humara koi
Sab taaluk hai zarurat ke yaha par
Na koi dost, na apna, na sahara koi

Umdaa
ReplyDelete